In Aansuon Se Muskaraya Nahi Gaya.


Best Urdu Ghazal In Aansuon Se Muskaraya Nahi Gaya. Dukh Shayari



Daaman-e-Tar Se Aansuon Ko Chuppaya Nahi Gaya,

Raaz-e-Dil Hi Kush Aesa Tha Ke Bataya Nahi Gaya.


😢😢😢😢😢😢😢


Marhoom Tamannaaon Ka Ek Bojh Liye Kaandhon Per,

Mujh Se Jashan-e-Tarab Bhi Manaya Nahi Gaya.


😢😢😢😢😢😢😢


Hans Diya Usey Dekh Ker Sar-e-Raah Uski Khatir,

 Par Kiya Karon In Aansuon Se Muskaraya Nahi Gaya.


😢😢😢😢😢😢😢


Wo Mera Hai Na Main Uski Rafaqat Me Tha Kabhi,

Samjhaya Buhat Dil Ko Magara Behlaya Nahi Gaya.


😢😢😢😢😢😢😢


Keye Hen Is Muhabbat Me Kaee Jurmon Ke Inkishaaf,

Phir Q ''Naaz'' Is Dunia Se Hame Uthwaya Nahi Gaya.


😢😢😢😢😢😢😢





Poet: Moosa Shahbaz